TANHAI SHAIYARI OR POETRY

Tanhai matlab akelapan, is tarah ki poetry tab ziada pasand ki jati hai jab us se bohat door or akelapan mehsoos karain jis se ap bohat pyar kartay hon... umeed hy ap pasan karain gy...

kuch ishq tha kuch majboori thi
kuch ishq tha kuch majboori thi

******************************

wO subha thi guzar gai, mein sham tha dhal gaya..



wO subha thi guzar gai, mein sham tha dhal gaya..
.
wO nazar thi jhuk gai, mein tehreer tha mit gya,.
wO shama thi pighal gai, Mein dard tha seh gaya
.
wO chand thi chup gai, mein badal tha baras gya
.
wO tOfan thi guzar gai, mein Gulshan tha bikhar gya
.
wO rOoh thi nikal gai mein jism tha khak ban gya,
.
wO khusboO thi ur gai mein phOol tha murjha gya
.
bus wO sub kuch thi chali gai main tanha tha tanha reh gya...!!!
********************************

Sau baar chaman mehka

Sau baar chaman mehka, sau baar bahaar ayi,
Duniyaa ki wohi ronaq, dil ki wohi tanhayi..

**************************

Bataaon tumhe kahaani udaas logon ki

Bataaon tumhe kahaani udaas logon ki,
Kabhi ghaur karna yeh hanstey bohat hain..

**************************

Mujhay nahi yaad main ne kisi ka dil tora ho
Mujhay nahi yaad main ne kisi ka dil tora ho
********************************

Ajeeb khail hai matti se banay logon ka
Ajeeb khail hai matti se banay logon ka

********************************



Chup Chup Rehna Seekh Liya Hai

Chup Chup Rehna Seekh Liya Hai,
Har Dukh Sehna Seekh Liya Hai,
.
Ashkon Ki MojOn Ne Dil K
Andar Behna Seekh Liya Hai,
.
Pathar Jese LogOn kO Bhi
Acha Kehna Seekh Liya Hai,
.
Jeevan Ki Tapti RaahOn Par,
Tanha Chalna Seekh Liya Hai,
.
Apna Dard Chupa Kar Sub Se,
Tanha rehna Seekh Liya Hai…!!!

***************************************

Tanhai

***********************************

baat choti bhi agar ho to
**************************************

Kahan lay jaOn ga tujh kO shab-e-tareek me is waqt

Kahan lay jaOn ga tujh kO shab-e-tareek me is waqt
aay tanhaimain be-bas hoOn, mere pehlu mai sO ja

********************************

Khud’gharzz hota to hajoom hota sath,

Khud’gharzz hota to hajoom hota sath,
Mukhliss hoon to isi liye tanhaa hoon..


********************************

Log tanhaai se dar ke janglon main aa gaye

Log tanhaai se dar ke janglon main aa gaye
Sheher ki galiyon mein ab ke aesa sanaatta hua..


**********************************

Qayamat hai yeh majboor dil ka ehsaas-e-tanhai

Qayamat hai yeh majboor dil ka ehsaas-e-tanhai
Akele ab to hum aksar bhari mehfil mein rehte hain..


*************************************

Qareeb aa shab-e-tanhaai, tujh se pyar karain 

Qareeb aa shab-e-tanhaai, tujh se pyar karain,

Tamaam din ki thakkan ka ilaaj tu hi sahi..

***********************************

Na janey us ke dil main kitni mehfilen abad hon

Na janey us ke dil main kitni mehfilen abad hon,
Jo akela betha ho usey tanhaa nahi kehte..


************************************

Doob kar suraj ne mujhe aur tanha kar diya

Doob kar suraj ne mujhe aur tanha kar diya,
Mera saaya bhi chupaa hai mere doston ki tarah..


***********************************

Popular Posts