Ilm Al-Limiya (Trees Rituals & Amliyat) Part: 2

Ilm Al-limiya kay 1st part mein meinay kuch is ilm ki history kay mutalik likha aur aab yahan mein aap say kuch ritual aur amliat kay mutalik share karon ga jis say aap sub ko malum hojay ga kay ilm Al-limiya kay zariay kistarah amliat kiay jatay hain,
Trees yehni Darakhton kay mutalik meinay kafi kuch 1st part mein share kia hai aur aab yahan kuch mazeed knowledge aap say share karta hon, 
Aaj ki modern science nay yeh sabit kardia hai kay trees bhi humari tarah jandar hotay hain khatay peetay hain aur onko takleef bhi hoti hai agar onko kata jay, zamana e qadeem kay log aur olma e rohaniat ko is baat ka pehlay say ilm tha kay trees bhi humari tarah jandar hain aur jistarah insan mein emotional feelings hoti hain jesay khushi mein khush hona, dokh mein dokhi hona ya rona, hurt karnay par takleef hona same trees mein bhi emotional feelings hoti hain yahan tak kay agar koi insan onsay baatain karay woh batain sontay aur samajtay bhi hain yeh baat shayad aap ko ajeeb lagay magar yeh sach aur haqeqat hai, aur kafi logon ko yeh raaz malum hai magar jin logon ko malum nahi aur yakin nahi rakhtay is haqeqat ko onkay liay mein yahan kuch pesh karnay jaraha hon:
Isitarah ki kai Humaray Nabi pak(s.a.w) ki ahadees hain jis mein darakton nay aap(s.a.w) ka hokum mana aur aap(s.a.w) kay bolanay par woh zameen ko cheer kar jaron ko ghaseet kar aap(s.a.w) kay pas ay,
Arabic ki qadeem kitab "Ajaib Al-Makhlokat" mein darakton kay mutalik kafi kuch likha hai kuch batain mein yahan share kar raha hon jo meinay urdu tarjomay wali book say hasil ki hain woh yeh hain:
Opar jo totka likha hai yeh aaj bhi gao(village) mein kisan log aksar kartay rehtay hain khud meray apnay gao mein bhi fruits kay darakton par yeh amal kartay hain jis say darakt khof say khob phal denay lag jata hai mein yahan kuch images apnay gao ki share kar raha hon:
 Opar image mein meray gao kay 2 kisan aak fruit kay darakt par wahi amal kar rahai hain, aak kisan jiskay hath mein kolhari hai woh darakt ko mar kar keh raha hai kay yeh darakt phal theek say nahi deta isliay isay bohat jald kat lon ga dosra kisan jo hath bandhay khara hai woh kehta hai kay nahi yeh darakt bohat acha hai yeh zaror is saal phal ziada day ga is saal isay na kato maaf kardo magar kolhari wala kisan kuch zarbay darakt ko mar deta hai ghusay mein aur yeh zarbay darakt par kuch istarah lagi hoti hain:
Kisan ki dhamki aur zarbay lagnay say darakt itna khofzada hojata hai kay woh phal ziada denay lag jata hai, yeh amal arab mein aksar log khajor kay darakt par kartay thay aur aaj bhi yeh amal kia jata hai, 
opar jo meinay batain aap say share ki aap sub ko yakin agaya hoga kay darakt mein humari tarah emotions bhi hotay hain aur woh humari bataon ko samajtay bhi hain, ilm limiya jannay walon ko yeh raaz malum hotay hain woh apnay ilm say in darakton say kafi faida letay hain amliat kartay hain, yeh sub kistarah hota hai mein kuch yahan aap say share karta hon takay aap ko bhi malum hojay kay ilm limiya kistarah kam karta hai darakton kay amliat kistarah hotay hain,

Akash Bael:
Akash bael aak ajeeb bael hai jo darakton ki dushman hoti hai aak bar kisi darakt par yeh chimat jay os darakt ka ark chosti rehti hai jis say darakt kuch arsay mein pura complete sokh kar mar jata hai jab is bael ko darakt ka ark nahi milta phir yeh apna khud ka ark chosnay lagti hai jis say khud bhi sokh kar mar kar fana hojati hai, kya khob kaha hai is baat par kisi nay kay "Na Chain pay ga tu bhi zalim kisi ka khana kharab kar kay".
Is ajeeb bael ko akash bael isliay kaha jata hai kay iska taluk zameen say nahi hota na to iski koi jarh hoti hai na patay yeh yellow dhagay ki tarah hoti hai aur darakt kay opar he tezi say phelti rehti hai is waja say isay akash bael kaha jata hai, olma e rohaniat kay mutabik is bael mein jinnati asrat hotay hain, yeh darakt mein achanak apnay aap peda hoti hai darakt ko sokha kar mar kar phir khud ko mar kar ghom hojati hai, olma e rohaniat nay is bael kay mutalik kafi amliat bhi likhay hain jo humay qadeem arabic books mein miltay hain, yeh bael itni khatarnak hai kay iska chota sa tokra aap lekar kisi haray bharay darakt par dal do to kuch arsay mein pura darakt yellow hojay ga yeh zalim bael os lachar darakt ko ahista ahista chos kar sesakti mot day daygi, yeh bael wesay har darakt par cha jati hai magar 2 darakton ki yeh khas dushman hai aak kekar ka darakt dosra beri ka darakt, in 2 darakton par yeh khob barhti hai tezi say aur jesay kay mein pehlay bata choka hon is blog kay 1st part mein kay beri ka darakt bohat khas aur muqadas hota hai aur agar beri kay darakt par say is bael ko hataya jay to os darakt ki rohaniat os insan ki bhi help karti hai jo problems ka shikar hota hai,
Mein yahan kuch apni photos akash bael ki share kar raha hon jo meinay apnay gao mein li thi:
Opar image mein kekar kay darakt kay sath mein khara hon aur os darakt kay opar akash bael pheli hoi hai,
Akash bael darakt ko khushk karnay kay baad khud bhi khushk hojati hai, khushk darakt aur bael ki image yeh hai:
Ilm limiya jannay walay log isi bael kay zariay darakt say kafi faida othatay hain, agar yeh bael beri kay puranay darakt par ho ya kisi khas sacred darakt par ho ya aysay darakt par jin mein asrat hon, kaboristan kay darakt ya kisi masjid ya mazar kay darakt par to is say kafi kam liay jasaktay hain, jesay agar koi shaks bohat shadeed bimar ho aur oska marz la ilaj ho doctors nay jawab day dia ho, to woh shaks apna ilaj aysay khas darakt jis par akash bael pheli ho os say karwa kar theek hosakta hai oska tarika istarah hai kay bimar la ilaj shaks aysay khas sacred darakt kay pas jay jis par akash bael ka kabza ho aur os darakt par hath rakh kar osay istarah kahai: 
"Mujay malum hai tum is bael ki waja say aziat mein ho, har din tumharay liay aziat bhara hota hai, tum ahista ahista sokh kar khatam hojao gay, mujay malum hai tum lachar ho kuch kar nahi saktay jis say tum par say yeh bael ka marz dor hosakay, jistarah tum aziat mein ho aur lachar ho, bilkol same isitarah mein bhi aziat mein hon apnay marz ki waja say har din meray liay takleef da hota hai mein bhi tumhari tarah ahista ahista mot kay mo mein jaraha hon, mein bhi tumhari tarah lachar hon apna marz dor nahi kar sakta, magar mujay jo Allah pak nay hathon ki salahiat di hai oski madad say mein tum par mojod bael ko hata kar os say tum ko azad kar sakta hon bilkol same isitarah Allah pak nay tum ko rohaniat say nawaza hai tum apni rohaniat say meray marz ko dor kar saktay ho, hum dono he aziat mein hain agar hum dono aak dosray say tawan karain to hum dono theek hosaktay hain, tum mujay meri bimari ko apni rohani salahiat say dor kardo ya mujay dua karo, mein tum say wada karta hon agar mujay shifa mili to mein tum par mojod is bael ko hata kar tum ko is say azad kardon ga tum humaysha haray bharay raho gay aur mein bhi sahat mand rahon ga",
is amal say bimar shaks kuch he dino mein theek hona shoro hojata hai, darakt mein mojod rohaniat os shaks ki madad karnay lagti hai, yeh aysa totka hai jisay sadio say logon nay poshida rakha aur aaj bhi ilm limiya jannay walay log is raaz ko chopatay hain apnay tak he rakhtay hain,
Isitarah aur bhi kai kam aysay majbor darakt say liay jatay hain jesay kisi ko bimar karna wagayra, iska aak tarika qadeem arabic book mein Abu Al-hassan Qazwini farmatay hain kaboristan mein mojod puranay khas darakt par akash bael ko dal kar yeh kehna hota hai kay "mein jis maksad kay liay tum ko is darakt par dal raha hon woh maksad tum ko pura karna hai" yeh kehnay kay baad kuch arsay baad jab os darakt par jay gay to darakt par akash bael phel choki hogi aur phir dushman ka pehna kapra lekar 360 bar aak khas wazaif parh kar phonka jata hai phir os kapray kay tokray tokray kar kay akash bael ki taron mein on kapray kay tokron ko oljha kar phansa dia jata hai phir kuch dino baad jesay jesay darakt sokta jata hai wesay wesay dushman bhi kamzor hota chala jata hai, khana peena chor deta hai, dawai ya medicines bhi asar nahi karti woh shaks itna kamzor hojata hai kay kamzori ki waja say oth aur bayth bhi nahi pata oski halat kuch istarah hojati hai jo is image mein hai:
aur jab darakt akash bael ki waja say pura sokh kar khatam hojata hai to woh insan bhi bilkol kamzor hokar mar jata hai, agar on kapray kay tokron ko os darakt aur akash bael kay soknay say pehlay nikal dia jay aur bael ko bhi os darakt say hata dia jay to os shaks ki zindagi bach sakti hai, yeh amal bohat khatarnak hai kuch logon ko is ilm ki malumat to hai magar woh os wazaif  ki talash mein rehtay hain jo cloth par parh kar phonka jata hai isi khas wazaif kay asar say akash bael ki rohaniat ya moakil oska kam karnay par majbor hojatay hain aur yahi cheez aysay na ahal logon say chopai jati hai takay koi kisi mazlom ya bay gunnah par istarah ka amal na karsakay,
Woh aurat jis par sakt bandish ki waja say oski shaadi na hoti ho rishtay ana band hogay hon, ya aysa shaks jis par bandish ki waja say job na milti ho, har kisam ki bandish dor karnay ka tarika yeh hai kay kisi beri ka darakt jo veeran jaga par ho aur os darakt par akash bael ka kabza ho os darakt par raat kay waqat jakar bael ko darakt par say achi tarah hata kar darakt ko os say bilkol azad kar day phir darakt kay pas ghosal karay aur pehnay hoay kapray wahin otar kar dosray new kapray pehan kar ghar ajay, is amal kay kuch dino baad har kisam ki bandish dor hojay gi,
Arabic ki ak qadeem kitab mein qazi saad farmatay hain kay qaid e na haq kay shikar ka qaidi jo bay gunnah ho aur qaid mein ho oskay liay aysay sehrai darakt ko talash kia jay jis par akash bael ka kabza ho aur os darakt par jakar wazaif parhai aur darakt ko os qaidi ka mazi wa hal istarah bayan karay jesay adalat mein judge say kehtay hain aur phir yeh kahai kay agar qaidi azad hogaya to mein bhi tum ko akash bael ki qaid say azad kardon ga osay tum par saaf kar kay phir khamoshi say wapis ajay theek 40 dino baad yeh amal apna asar dikhana shoro kar deta hai aur qaidi azad hojata hai,
Akash bael aur bhi kai kamo mein use hoti hai jaysay muktalif amraz ya bimari ki shifa kay liay, oska tarika yeh hai kay Allah pak ka nam lekar akash bael kay 3 ya 7 tar lay kar inhai kisi kekar kay darakt par dal day akash bael kay khas wazaif ko 110 bar parh kar taron par phonk day aur phir is amal kay 3 months baad os darakt par jakar dekhay to woh pura darakt akash bael say ghira hua milay ga, os darakt mein say hasb e zarorat akash bael ki taron ko lay yeh aysay marizon kay liay shifa hai jo sehri ya jaadu kay asrat ki waja say tarah tarah kay la ilaj amraz ka shikar hojatay hain, aysa mariz jo sehar zada ho aur la ilaj hochoka ho charon taraf say mayous wa nakam hokar mot kay intazar mein ho aysay sehar zada mariz kay ilaj ka tarika istarah hai kay akash bael ko saaya mein khushk kar ka lain aur oska powder bana lay aur is powder ko loban kay sath mix kar kay mariz ko iski dhoni denay say tamam kisam ka sehar wa jaado khatam hojata hai, sehar sata ay mariz kay liay tariak e kamil sabit hoga, mein aksar aysay amal karta rehta hon mera yeh azmoda amal hai,
Husband aur wife jin kay darmian humaysha jhagra rehta ho, muhabat khatam hogai ho, baat divorce tak pohanch gai ho jis say masoom bachon ka future kharab hota ho to istarah ki problems mein bhi akash bael kay zariay husband aur wife mein muhabat peda ki jasakti hai onka ghar tabha honay say bachaya jasakta hai, iska tarika istarah hai kay akash bael jo darakt par ho osay ghor say daykhain onkay tar 2 tarah say phelay hoay hon gay, aak tarah kay tar to bilkol seedhay left aur right ya opar neechay hon gay jab kay 2nd kisam kay tar pej dar pej phelay hoay nazar ay ghay on mein 2 tara apas mein milay hoay hon gay, in khas taron ko lekar saaya mein khushk kar kay powder bana lay aur akash bael ka khas wazaif os par 52 bar parh kar phonkay phir 1 week kay doran yeh powder kisi khanay ki chez mein 3 bar khila denay say husband aur wife mein shadeed muhabat peda hojay gi woh aak dosray kay bina reh bhi nahi pay gay aur onka tabha hota ghar bach jay ga, apas mein milay hoay twin akash bael kay tar istarah hotay hain:
Akash bael aak jinnati asrat rakhnay wali khas bael hai iskay aur bhi kai amliat hain jo sub yahan share karna munsib nahi mein aksar is khas bael say muktalif kisam kay amliat karta rehta hon jis say kafi logon ko faida pohancha hai aur onko shifa mili hai,
Yeh to hoi baat akash bael walay darakhton ki aab mein kuch aur darakhton kay amliat aap say share karta hon,

The Twin Trees:
Twin trees(jorwa darakt) yehni aysay darakt jis kay 2 tanay aak sath zameen say niklay hoay hon aur apas mein milay hoay hon aysay jorwa darakt amal e hob ya muhabat kay amliat mein use kiay jatay hain, yeh twin trees yehni jorwa darakt male aur female hotay hain aysay darakhton mein bhi kafi asrat hotay hain, mein in type kay jorwa darakhton ka aak amal yahan share kar raha hon:
Qadeem arabic book "Akhbar Rohaniat" mein hakim Abu Abdullah Taib Muhammad bin Ali Abas kami aur kitab "Al-Sehar wa Al-Bayan" mein Jelan Atras farmatay hain kay amal e hob wa taskheer kay amal kay liay planets mashtari wa zohra kay karaan al-sadeen mein sonay ya peetal ki aak balshit bhar lambi mazbot kisam ki nail taiyar ki jay aur osay 2 shakha ya koi jorwa twin darakt talash kar kay on darakt kay beech mein woh nail gar day, is amal kay baad intazar kia jay jab dobara yahi same waqat mashtari aur zohra ka ay to os nail ko darakt say nikal lay aur is nail ko sunbhal kar rakhay yeh hob aur muhabat kay har kisam kay amliat mein use hosakti hai, jesay mehbob ki voodoo doll bana kar os par yeh nail laga kar aysi jaga dafan karay doll ko jahan aag humaysha jalti rehti ho, is amal say ba hokam e khuda aamil ka matlob jahan bhi jis hal mein bhi hoga amal kay asrat say oskay dil mein apnay talib ki muhabat ki aak aysi aag jal othay gi kay jo osay pagal wa majnon kar kay rakh day gi aur os waqat tak chain mehsos nahi karay ga jab tak talib kay pas deewana hazir na hojay ga, olma e rohaniat likhtay hain kay yeh amal bila shak wa shoba dorast hai aur aysa akseer al-asar hai kay aamil kay matlob ko khuwa sari dunia oskay talib kay khilaf jo kuch chahai kahai os par kisi kisam ka koi asar nahi hoga balkay waqat guzarnay kay sath woh apnay talib ki muhabat ka aysa mariz ban jay ga kay talib ki judai oski mot ban jay gi, 
kitab akhbar e rohaniat kay mutabik jab zer e zameen dafan apnay matlob ki doll wahan say okhar kar nail nikal day ga aur doll pani mein baha day ga tab jakar iskay asrat khatam hongay,
Yeh amal mera bhi azmoda hai meray nazdeek yeh amal bohat power rakhta hai aur nail sirf voodoo doll mein he nahi aur bhi kai maksad mein use ki jati hai jesay husband wife ka apas mein humaysha jhagra rehta ho jis say masoom bachon aur ghar kay dosray afrad ka sukon barbad hogaya ho, khushal ghar tabah honay laga ho to aysay ghar mein agar yeh nail dafan kardi jay khas kar wahan jahan husband wife ka bedroom hoto is amal kay asrat say dono mia biwi mein shadeed muhabat peda hojati hai, aur bhi kai tarah kay amliat is khas nail kay hain jo yahan batana munasib nahi, mein kuch apni images yahan share kar raha hon jis say aap ko malum hoga kay yeh amal kistarah kia jata hai:
Yeh Twin Trees meray gao(village) mein mojod hai, nail laganay say pehlay darakt ko dhamki bhi di jati hai kay: "mein jis maksad aur kam kay liay tumharay pas aya ho woh kam tum ko karna hai agar tum nay na kia mera kam to jistarah mein tanha hon aur tarap raha hon apnay mehbob kay liay isitarah tum dono ko bhi kat kar juda aur tanha kardon ga". is dhamki say amal apna asar bohat tezi say dikhanay lagta hai,
Nail ka size itna hona chahehai jo opar image mein meray hath par rakhi hai,
Nail ko twin trees kay bilkol centre mein lagaya jata hai,
Twin trees ka yeh amal mera fvt hai aur yeh khas nail aur bhi kai maksad mein use ki jati hai,

Haunted Trees:
Aysay Darakht jis par saaya ho, jinnati ya asayb kay asrat hon on darakton par bhi kafi amliat hotay hain aysay amliat bohat dhian aur ahtiat say kiay jatay hain in amliat mein bohat risk hota hai, aysay amliat mein kabhi bhi kuch bhi hosakta hai, aysay amliat karnay mein aamil physically aur mentaly strong ho tabhi woh kamiab hosakta hai, mein yahan kuch is type kay darakt kay mutalik share karta hon,
Kaboristano mein kafi darakt hotay hain jin mein asay asrat hotay hain magar ziada tar on kaboristano mein jo kafi qadeem ho aur kisi veeran jaga par ho jahan logon ka ana jana bohat kam rehta ho, aysay kaboritan mein agar aap jay gay to wahan kafi darakt to aap ko milay gay magar aak darakt aysa hoga jo bilkol alag sa hoga osay dekhnay say he aap ko khof mehsos hoga yeh khof insan ki chati his ya 6th sense batati hai kay hoshiar rehna os darakt par kuch asrat hain, aysay darakt ki rohaniat bohat strong hoti hai osay invoke kar kay taskheer karna bara jigar ka kam lekin aak bar yeh rohaniat taskher hogai to os say kafi faiday liay jasaktay hain, mein istarah kay amliat aksar karta hon aur mein kuch images apni yahan share kar raha kay mein kistarah yeh amal karta hon,
 Yeh image aak khas puranay darakt ki hai, yeh darakt qadeem kaboristan mein hai aur os kaboristan mein logon ka ana jana kam rehta hai aur opar image mein jo darakt hai oskay nazdeek to koi jata he nahi muktalif logon ko os darakt par kafi ajeeb chezay dikhai di hain, jab meinay pehli bar yeh darakt dekha mein samaj gaya tha kay is darakt par kafi asrat hain aur yeh meray amliat karnay kay liay best sabit hoga,
Jab mein os darakt kay qareeb gaya to mujay mehsos honay laga kay koi chez mujay ghoor rahi hai meinay jab opar dekha to wahan bara owl betha mujay ghoor raha tha, os darakt par har woh ilamat ya symbols mujay dekhnay ko milay jo aak asayb zada ya jinnati darakt mein hotay hain aur meray andar josh peda hogaya kay mein jald say jald os darakt ki rohaniat ko taskheer karon aur mein apnay kam mein lag gaya,
Meinay os darakt par apna ritual karna start kia aur sub say pehlay hisar apna banaya apni protection kay liay takay meray aur darakt ki rohaniat kay darmian bahir ki koi dosri shaitani taqat invole na hosakay ya kaboristan mein mojod koi bad rooh attack na kar sakay, hisar karnay kay baad mein raat honay ka wait karnay laga,
Raat kay waqat meinay wahan aag jala kar dhoni ki aur apna amal karna shoro kia, kafi rikawatay bhi pesh ai magar apna amal complete kar lia aur darakt ki rohaniat ko taskheer kia,
Sari raat amal karnay kay baad jab subha honay lagi soraj nikalna shoro hua to meinay apna ritual complete kia aur phir kaboritan mein tamam ahal e kaboor ki roohon kay sawab kay liay dua ki aur onsay maafi mangi kay anjanay mein muj say koi galti hoi ho ya onko meri taraf say koi takleef hoi ho to mujay maaf karday,
Jab koi shaks istarah ka koi amal, ritual ya chila kaboristan mein karta hai to woh shaks amliat say farikh hokar kaboristan say bahir nikalta hai to koi rooh oskay peechay peechay oskay qadmo par qadam rakhtay hoay chali aati hai aur jab woh kaboristan say nikal kar apnay ghar jata hai to woh ghar tak pohanch jati hai aur os shaks kay sath kafi problems honay lagti hai, agar woh shaks is baat ka ilm rakhta hai to woh os rooh ko control mein kar kay taskheer kar leta hai aur apnay maksad mein use karta hai, istarah kay amliat bohat khatarnak hotay hain kafi risk othana parta hai isliay insan ko aysay amal bohat dhian aur khyal say karnay chahehai,

Sacred Trees:
Masjid, Mazaron ya muqadas jagaon par bhi kuch khas darakt hotay hain jo apnay andar rohani asrat rakhtay hain, in darakhton ki rohaniat ko invoke kar kay onkay zariay bhi kafi kam liay jatay hain, mein aksar in muqadas sacred trees ki rohaniat ko taskheer kar kay onkay zariay kafi logon ki problems solve karta rehta hon, yahan mein kuch images in sacred trees ki share kar raha hon jo mutalik mazaro ki hain,
Opar image mein jo darakt hai woh kafi qadeem hai aur yeh sacred darakt hyderabad mein Hazrat Makki shah al-ashabi ki mazar mein hai, yeh darakt har kisam kay jaadu kay asrat, saaya, asyabi ya jinnati asrat ko khatam karnay ki salahiat rakhta hai, is darakt kay zariay kafi la ilaj mariz theek hoay hain,
 
Yeh images bhi bohat khas sacred tree ki hai jo Hala city kay nazdek mein Hazrat Shah Abdul Latif Bhitai ki mazar par hai, yeh khas darakt bhi logon ki har kisam ki problems ko apnay andar absorb karnay ki salahiat rakhta hai, la ilaj bimari kay mariz jin par shaitani asrat ya jaadu ki waja say tarah tarah ki bimaria peda hojati hain ya onki life mein har tarah ki bandish par jati hai woh log os mazar par jakar is darakt mein pehna hua dhaaga band detay hain, kuch log apnay pehnay hoay kapray ki pati kat kar woh band detay hain aurtay apnay duppatay ka tokra kat kar bandh deti hain, to koi mannat kay dhagay bandhta hai, aap images dekh kar samaj ghay hongay kay log is darakt kay asrat ko kitna ziada mantay hain, is sacred tree ki rohaniat nay har os shaks ki problem solve ki hai jo oskay pas madad mangnay ata hai,

Jhar phonk kay zariay Amraz ko Jharna: 
Bimaria zindagi ka hisa hain har insan apni zindagi mein bimar hota rehta hai aur doctors say ilaj karwa kar medicines kha kar dheek hojata hai yeh to hoi jismani bimaria isitarah rohani bimari bhi hoti hain jinka ilaj doctors ya medicines nahi kar sakti, yeh bimaria jaadu kay asrat ya "JHARAP" say hoti hain, agar insan in rohani bimario ko kisi achay aamil ya rohani doctor say ilaj karwata hai to theek hojata hai aur agar iskay ilaj mein dayr hogai to insan jald mot kay mo mein chala jata hai, aab mein aap ko batata hon kay Jharap kya hoti hai,
Jharap means saaya lagna, insan jab na paki ki halat mein kisi sacred pak jaga par jata hai to osay jharap lag jati hai, isitarah kaboristano mein hasi mazak karna ya mazaro mein bay adabi karnay say bhi jharap hojati hai, jharap jab insan ko lagti hai to is say insan ko tarah tarah ki bimaria lag jati hain jo theek honay ka nam nahi leti isitarah job mein problems ya shaadi mein rikawat ya phir on insan par har tarah ki bandish par jati hai jis kam mein hath dalay ga woh kam humaysha olta hota rahai ga, 
Shehar ya cities mein rehnay walay logon say ziada woh log jo gao(villages) mein rehtay hain woh aksar jharap ka shikar hotay hain aur woh log is baat ko samajtay bhi hain aur doctors say ziada woh jhar phonk karnay walon par yakin rakhtay hain aur woh onkay zariay theek bhi hojatay hain, gao walay log akhir kuo ziada tar jharap ka shikar hotay hain onki waja mein batata hon,
Sahi Bukhari sharif mein Nabi pak(s.a.w) ki hadees hai kay aap(s.a.w) nay mana farmaya hai zameen par banay bilo(hole) mein peeshab karnay say kuo kay bilo mein aksar jinnat rehtay hain aur gao mein kheeton par jaga jaga bil banay hotay hain aur gao kay logon ko yeh baat malum nahi hoti aur woh on bilo mein peeshab kartay hain aur jharap ka shikar hojatay hain, isitarah nehar ya khara pani jahan ghas aur poday lagay hotay hain wahan bhi peeshab karnay say aysa hota hai aur aysay pani kay opar say phaland kar guzarnay say bhi jharap hojati hai iski aak hadees mein yahan share kar raha hon:
Isitarah gao(villages) mein jaga jaga jharion kay jhand hotay hain wahan bhi aksar jinnat ka basera hota hai wahan bhi peeshab karnay say jharap lag jati hai, aak dosri hadees mein yahan share karta hon:
Istarah ki kai Ahadees hain jis mein Nabi pak(s.a.w) nay mana farmaya hai kay mosalman aysi jagaon par janay say ahtiat karay warna onko jharap kay asrat lag jatay hain, aur aysi jagahai aksar gao ya deehat wagayra mein hoti hain aur wahan kay rehnay walay aksar jharap ki waja say bimar rehtay hain, 
Jharap kay asrat ko dor karnay kay wesay to kai tarikay hotay hain magar meray nazdeek  ziada asar wala woh hai jo kisi sacred darakt ki subz shak ya neem kay darakt ki subz shak say jhar ki jay, mein aksar isi tarikay say gao mein mojod logon par honay wali jharap kay asrat dor karta rehta hon, kuch images mein apni yahan share kar raha hon jis mein aak gao kay kisan ki mein jhar phonk kar raha hon jo jharap ka shikar hai:
Jharap kay shikar mariz ko sub say pehlay beri kay paton ko pani mein dal kar os pani say mariz ko ghosal ya ritual bath dia jata hai, Ghosal denay kay baad zameen par hisar bana kar oskay beech mariz ko bethaya jata hai, hisar bhi khas ritual tool say banaya jata hai,  
 
Hisar bananay kay baad neem ya kisi sacred tree ki sabz shak say khas wazaif parhtay hoay jharap kay asrat ko khatam kia jata hai,
Mein istarah aur isi tarahkay kai muktalif tarikon say gao kay kisan logon ka ilaj karta rehta hon, neem ki sabz shak mein yeh ability hoti hai kay woh istarah kay asrat apnay andar absorb kar leti hai, aur bhi kai darakt mein aysay asrat hotay hain jo boray asrat apnay andar khinchay ki salahiat rakhtay hain jistarah magnet iron ko apni tarah khinchta hai, aak hadees bhi yahan share kar raha hon jis mein Nabi pak(s.a.w) nay aak darakt ki shak kay 2 tokray kar kay 2 kabaron kay opar laga dia aur farmaya kay in shakon kay khushk honay tak kabaron mein hota azab kam hojay ga,
Aaj ki modern science nay bhi yeh sabit kardia hai kay darakt apnay andar negative rays absorb kartay hain aur insan apna ziada tar waqat electric cheezon kay darmian guzarta hai insan ka othna bethna yahan tak kay har kam electricity ya current kay beech hota hai jis say insan ki body mein harmful rays jati hain jis say insan mein sosti aur zehan kafi stress mein rehta hai aur jismani ya mind problems barhnay lagti hai, scientists nay is problem ka hal yeh bataya hai kay ghar mein garden ka hona zarori hai ya payr poday mojod hon takay yeh harmful rays apnay andar absorb kar sakain, yeh baat science ko aaj malum hoi hai magar zamana e qadeem say log is mokhfi ilm say wakif rahai hain,
Jharap kay asrat say muktalif amraz logon ko hojatay hain aur jharap kay shikar logon ko humaysha raat ko ya sotay waqat problems kafi hoti hain, in amraz mein aak marz e kabos hai is marz ya bimari mein insan jab raat ko sojata hai to achanak oska dam ghotta mehsos honay lagta hai jesay koi bhari chez seenay par bethi ho ya kabi aysa feel hota hai jesay koi oska gala daba raha ho jab oski ankh kholti hai to samnay osay khofnak shikal ka jinnat ya churail dikhai deti hai woh hilnay ki koshish karta hai magar apna jism hila nahi pata, cheekhna ya shor karna chahata hai magar awaz nahi nikal pati yeh kayfiat kuch time rehti hai phir aysa feel hota hai jesay jism mein achanak jan wapis agai ho aur woh shaks darr ki waja say cheekhnay lagta hai idhar odhar dekhnay lag jata hai magar woh jinnat ghom hojata hai,
Kabos bimari kay mariz kay family members oski is bimari ki waja say kafi parayshan aur disturb rehtay hain agar is bimari kay ilaj mein dayri hoi to is marz say insan pagal bannay lagta hai ya coma mein chala jata hai, iska ilaj jhar phonk say kia jata hai kuo, yeh marz ya bimari jharap ki waja say hoti hai,
isitarah aurtay aur larkia bhi jharap kay shikar mein ajati hain jesay larkia raat ko naha kar baal apnay kholay ghar ki chahat par jati hain ya tez khushbo raat ko laga kar chahat par jana ya wahan sonay say jharap kay sakt asrat onko lag jatay hain jis say onko bhi tarah tarah ki bimaria hojati hai, onko bhi kabos ki bimari ki tarah aak ajeeb bimari lag jati hai onko raat sotay waqat aysa feel hota hai kay koi onkay sath hum bistar horaha hai ya sex kar raha hai, woh apnay jism ko hila bhi na pati na he onki awaz nikal pati hai aysa onko feel hota hai jesay jism coma mein chala gaya hai jism say jan nikal choki hai sirf 2 his onki kam karti hain dekhna aur mehsos karna, onko yeh tak feel hota hai sex kay doran intercourse bhi horaha hai, yeh kabos ka marz ziada tar kunwari larkio ko hota hai, agar iska ilaj apnay time par na hua to larki pagal hojati hai ya sokh kar hadio kay dhanchay ki tarah banti chali jati hai, jharap kay asrat bohat khatarnak sabit hosaktay hain mard aur aurat dono kay liay isliay jab bhi insan ko aysi koi problem peda hona shoro hoto foran kisi achay aamil say apna ilaj karwa lay jo ilm janta ho jhar phonk karta ho,
Um Al-Sobian:
Mardon aur aurton ko kistarah jharap lagti hai oskay mutalik meinay kuch details opar share ki hain, isitarah masoom chotay bachon ko bhi aksar jharap lag jati hai, parents humaysha apnay bachon ka khyal rakhain onko aysi jagaon par mat janay day jahan kaboristan ho ya aysay darakt jahan boray asrat hon aur raat kay waqat bachon ko ghar say bahir na nikalnay day na he onko ghar ki chahaton par akayla janay dia jay, kafi Nabi pak(s.a.w) ki ahadees hain jis mein Nabi pak(s.a.w) nay raat kay waqat bachon ko gharon say nikalnay
par mana farmaya hai, aak hadees mein yahan share kar raha hon:
Insano par muktalif kisam kay shaitani jinnat mokay ki talash mein hotay hain aur moka miltay he attack kartay hain, mardon par attack karnay walay jinnat alag hotay hain, aurton par attack karnay walay alag jo onsay sex kartay hain aur bachon par attack karnay walay jinnat alag type kay hotay hain, bachon par ziada tar aak churail(witch) attack karti hai jisay arabic mein Um Al-Sobian aur hindi mein osay Mata kehtay hain, jab bachay par um al-sobian attack karti hai to bachay ko dast aur oltia hona shoro hojati hai jo kafi ilaj karnay kay ba wajod yeh bimari theek nahi hoti aur bacha itna kamzor hojata hai kay ankhain andar ko dhans jati hai, woh hadio ka dhancha sa ban jata hai osay sokhay ki bimari lag jati hai is image ki tarah:
Rohani ilm rakhnay walay log bachay ko dekhtay he samaj jatay hain kay bachay par um al-sobian ka attack hua hai, oski aak khas ilamat hoti hai jis say malum par jata hai, agar bachay ka sahi time par jhar phonk say ilaj hota hai to yeh asrat khatam hojatay hain aur bacha bilkol theek aur healthy hojata hai, agar bacha is bimari kay last stage mein agaya aur sokh kar hadio ka dhancha sa ban gaya to phir ilaj oska nahi hopata aur bacha mot kay mo mein chala jata hai, Um Al-sobian churail har saal kai bachon ko isitarah chos kar mar dalti hai, aak hadees jo isi churail kay mutalik hai share kar raha hon:
Isitarah ki aur bhi kai rawayat aur ahadees hain jis mein is churail kay mutalik kafi kuch bataya gaya hai mein inshAllah apnay next blog jo jinnat kay mutalik hoga os mein share karon ga,
Aak kisa um al-sobian ka jo hazrat sulayman(a.s) say mansob hai yahan share kar raha hon:
Arabic ki Qadeem kitab "Mojarbat e Imam Seoti" mein hazrat imam jalaluddin abdul rehman seoti mein Hazrat sulayman(a.s) aur Um al-sobian ka wakia istarah likha hai:
Hazrat Jibrael Ameen say rawait hai kay jab Hazrat Sulayman(a.s) ko tamam sarkash wa sharir jinnat wa shaitano kay qaid karnay ka hokam hua to zameen wa asman kay tamam lashkar hazrat sulayman(a.s) ki khidmat mein hazir hoay magar Um al-sobian na ai, jinnat wa shiateen kay lashkaro nay hazrat sulayman(a.s) ki khidmat mein arz ki "ya sayedna! kya aap nay um al-sobian ko aman day di hai halankay aap ki umat mein jo takleef wa mosibat hai sub oski taraf say hai", Hazrat sulayman(a.s) nay hokam dia kay osko foran hazir karo, um al-sobian ko zanjeero mein jakray hoay hazir ki gai, jab Hazrat sulayman(a.s) nay osko dekha to awal Allah pak kay agay sajda kia phir kaha "Ay Malona! meinay tuj say ziada kisi ko haybatnak wa khatarnak nahi dekha, batao tera nam kya hai aur kya kam karti hai", magar um al-sobian nay koi jawab na dia, itnay mein hazrat Jibrael(a.s) nazil hoay aur kaha "ay sulayman(a.s) is malhona ko aag say jala do aur oski raakh ko hawa mein ora do", phir woh malhona boli "ya sayedi tuj ko khuda ki kasam hai mujay aag ka azab na dejiay mein aap ko apna nam aur kam batati hon aur kaha mera nam Ahmata bin hamta hai aur meri koniat um al-sobian hai mein zameen wa asman kay darmian hawa mein rehti hon, mein abad gharon ko khali wa veeran kar deti ho, kabaron ko abad kar deti hon, masoom bachon ko mar deti hon, baron ko kisam kisam kay amraz wa mosibat, fikar wa fakay mein mobtala kar deti hon, aurton ki godh ko aulad say khali kar deti hon, tajiro ko tijarat mein noksan dalwati hon, har aak kisam ki bimari phelati hon, kheeton ko tabha kar deti hon aur pani ko kam kar deti hon, Hazrat sulayman(a.s) nay os say pocha kay ay malhona tu mardon, aurton aur masoom bachon ko kistarah pakar leti hai aur pani wa khayti ko kistarah kam karti hai? osnay kaha ya Nabi Allah mein mard wa aurton ko kha jati hon aur bachon ki hadia choor karti hon, onka gosht kha jati hon, onka khoon pee jati hon aur onki mao ki godhon ko khali kar deti hon aur aurton aur bachon mein say onko chonti hon jinki ankhain bari aur siah hon, chehra tandorosti ki waja say surkh ho, yeh baat sunnay kay baad Hazrat sulayman(a.s) nay kaha "ay malhona aysi bad kirdario kay hotay hoay tu chahati hai mein tujay azab na don, mein tuj ko zameen kay satway tabkay mein qaid kardon ga aur tuj par tanba galwa don ga aur tujay sakht azab don ga aur peenay ko peep don ga", osnay kaha ya nabi Allah mujay aysa sakt azab na dejiay mein aap ko chand ahad wa amal batati hon jo shaks is ahad ya amal ko karay ga mein oski hadi wa gosht, jism wa baal har aak ayza say nikal jaya karon gi phir wapis na aya karon gi na os makan mein kabhi dakhil hongi, Ya Nabi Allah aap apni umat kay har fard ko keh day kay is ilm ko jo mein aap ko batanay jarahi hon apnay pas rakhay woh har bala wa mosbiat say mehfoz rahai ga,
aur mein kasam khati hon Allah pak ki mein jiskay pas yeh ahad ya amal hoga mein os say humaysha dor raha karo gi,
um al-sobian nay woh 7 ahad hazrat sulayman(a.s) ko bata diay jo "7 Ahad e Sulaymani" kay nam say pukaray jatay hain, jhar phonk kay doran isi kasam namay ya 7 ahad ko parha jata hai jis say bachay par mojod um al-sobian kay asrat khatam hojata hain,
Mein gao(village) mein mojod bachon ka aksar ilaj jhar phonk say karta rehta hon jin par um al-sobian kay asrat hotay hain, yahan mein kuch images aur detail share kar raha hon kay yeh ritual kistarah kia jata hai:
Bachay par mojod kuch khas ilamat dekhnay kay baad malum hojay kay bachay par um al-sobian kay asrat hain to aysay bachay ko pyar say relax kar kay batain kartay aur hasi mazak kartay hoay apnay pas betha lay takay osay koi khof ya darr mehsos na ho jhar phonk kay amal ko dekh kar, jab bacha bataon mein gol mil jay friendly hojay aur relax feel karay darr aur khof oska dor hojay then yeh ritual start karna chahehai, woh ahad aur wazaif aur kasam namay jo hazrat Sulayman(a.s) say mansob hain woh parhnay chahehai aur neem ki subz shak paton wali lekar os say saray jisam par bachay kay phayr kar jhara jay aur ankhain band kar kay yeh tasawar kia jay kay kala sa smoke bachay ki body say nikal kar neem kay paton mein absorb hota jaraha hai phir osay hath ka jhatka day kar jharay aur tasawar karay kay jharnay say smoke jhar kar ghom hota jaraha hai,
Jharnay kay pehlay aur baad mein neem ki subz shak ko loban, gogal ya oudh ki dhoni di jati hai takay jo boray asrat os mein hon woh sub nikal kar woh shak bilkol pak hojay,
Dhooni denay kay baad is neem ki shak ko ghar kay bahir darwazay par taang detay hain sath mein lemon aur mirch kay sath takay ghar ka hisar bana rahai koi dosri shaitani taqat akar rikawat na kar sakay,
4 din ya 7 dino tak isitarah neem ki shak, lemon aur mirch ko taang kay rakha jata hai aur is ghar mein kisi na pak aurat ya larki jisay mahwari ya periods hon janay nahi dia jata na he os aurat ko jo pregnant ho aur bachon ko bhi wahan janay say roka jata hai kuo kay um al-sobian mariz bachay say nikal kar on par attack kar sakti hai, isliay bohat ahtiat ki jati hai amal kay 4 ya 7 dino tak oskay baad aamil wahan akar neem ki khushk shak aur lemon, mircho ko kisi nehar ya daria mein dalta hai aur um al-sobian ko alwida kehta hai wahi sulaymani ahad aur kasam namay parh kar,
Lemons mein bhi yeh taseer hai kay yeh jahan hongay wahan jinnat nahi ay ghay jinko iska ilm hai woh shops mein gharon mein aksar rakha kartay hain, iski aak rawait yahan share kar raha hon:
Ilm Al-Limiya ka yeh 2nd part mein yahin tak pura karta hon, inshAllah iskay 3rd part mein jario botio, herbs aur roots kay mutalik bohat kuch share karon ga,
Khuda na Khuwasta aap kay sath ya aap ki family ya friends kay sath spiritual problems hon jesay jaadu kay asrat, jharap kay asrat wagayra to aap muj say kabhi bhi rabta kar kay in asrat ko khatam karwa saktay hain meray is number par call ya sms kar kay: 03003799165.
Mola Aap sub ko sada khush wa abad rakhay(ameen).

Popular Posts